Blogging Me Success Pane Ke Liye 10 Sahi Tarike
Headlines
Loading...
Blogging Me Success Pane Ke Liye 10 Sahi Tarike

Blogging Me Success Pane Ke Liye 10 Sahi Tarike

To aayiye jante hai blogging me success hone ke Top 10 Blogging Tips, agar aapko acha lage to ishe share karna na bhule.
10 special Tricks, Kiya Aap Blogging Me Success Karna Chahte Hai, how to succeeded Blogging in Hindi

Blogging Me Success Pane Ke Liye 10 Sahi Tarike

Jab koi blog bana leta hai to sabse pahle man me yahi khyal aata hai ki log kaise hmare blog par jyada se jyada visit kare iske liye tamam upay bhi apanat hai jiske blog ke link ko share karna mukhy hai jab ham blog ke lik ko share karte hai to hmare blog ki Pageview to badh jati hai lekin jaise hi ish kaam ko kam karte hai fir blog par visitor naa ke barabar ho jate hai
To aise me hame blog me success hona hai in baato ko bhi jarur fallow karna chahiye jo ish prakar hai

Blogger tips 1 - blog ke liye time fixed kare


Blogging ek aisa work hai jisme shuru me bahut interest hota hai lekin kuch time baad man ke mutabik blog me success yani safalta na mile to hame blogging bore lagne lagta hai jiska asar hmara blog par kam active hona dikhayi deta hai.
So blog me success hona hai to sabse pahle aapko bhi har work ki tarah blog ke liye bhi time kitna dena hai aur kab blog likhna hai time fix krna padega jisse aapke regular blogging karne me interest aayega aur aap ish tarah daily ke karyo ko karte hue blog ke liye bhi time denge jo ki blog me success hone ke liye bahut hi routine work hai

Blogger tips 2 - professional blogger banne ki kosish kare


Blogging ek aisa work hai jispar 24 hrs me kisi bhi time aapko kary karne ki jarurat pad skti hai yani yadi aapke blog par acha traffic aa raha hai aur achanak se traffic ekdam down ho jaye to iske liye khud apko apne blog ki problem se update rahna padega yaani jaise job me aap apne work ko poora hone ko lekar alert rahte hai thik waise hi blogging me bhi agar aapko success hona hai to khud ko blog ke prati aapko professional banna padega



Blogger tips 3 - dusre se kuch alag kare



Aksar dekha jata hai jab koi new blog start karta hai to shuru shuru me blog kaise likhna hai iske bare me kam janakari hoti hai jiske karan se koi new blogger google search me jis topic par blog likhna hai search karte hai fir ushe padhkar apne hisab se apne writing me likh dete hai to jara sochiye jis subject par pahle se hi lakho likh chuke hai aise le log bhala aapke blog par kyu aayege
Har kisi ko hmesa koi new janakari chahiye jiske bare me logo ko pata nhi ho thik aisa kuch blog me bhi hota hai aap blog likh rahe hai aur bahut sare post bhi likh kar publish kar chuke hai par Pageview naa ke barabar hai to aise me dher saare post likhne ka koi matlab hi nahi hai so aise me aapko blog me success hona hai to aapko kuch naya karne ki jarurat hai
Isliye aap jab koi post likhe to logo se hatke ho yaani aap koi post likhna chahte hai to aap un baato ka bhi jikra jarur kare jinhe aap jante hai ya aapka uske bare me kya janakri hai uspar bhi likhe to ish prakar aapka blog post logo se unique honga to nischit hi nayi janaakri ke chlte aap jald hi sabse jyada search kiye kiyege aur fir aapko blogging me success hone se aapko koi rok nahi sakta hai

 Blogger tips 4 - kuch naya kare


Jab aap blog ke field me aate hai to aapko blog me success hona bhi chahte hai to aise me aapko kuch logo ko nayi janakri dena hai to aise chijo ke bare me aap kuhd se sochte bhi rahe aur jab bhi mind me kisi topic par aapko post likhne ka vichar aaye to ushe turant note kar le aur fir uska sahi se analysis karke tab blogging post kare tabhi aap ek success blogger banne ke taraf apne kadam badha sakte hai

Blogger tips 5 - negative insan se door rahe


Yah factor har kisi filed me paya jata hai jaise hi aap success ki taraf badhte hai aapko aise log bhi milte hai jo ki aapke kamo ka majak bhi udate hai aiso logo ko hme hmesa ignore karna chahiye kyuki ye log hmesa negative thinking se bhare hote hai aur dusro ke bare me bhi aisa sochte hai so aapko blogging me success hona hai aise logo ko avoid krna hi behtar hai

Blogger tips 6 - Facebook aur WhatsApp me  time Barbaad Na kare


Aaj ke time me har kisi ke pass apna khud ka smartphone hota hai aise me jara sochiye agar aap ka shauk blogging hai aur aap blog bhi likhte hai aur baaki time apne mobile phone ya smartphone me time de rahe hai aur ghanto logo se chat karne me busy hai aise me jara sochiye aapne apne time ko yuhi gava rahe hai
Agar sachmuch aapko social media me interest hai to ishe aap apne blog ka passion bana sakte hai maan lijiye aapke kayi saare whatsapp group ya facebook group aur page hai to ishe aap apne profession ke roop me use kar sakte hai iske liye aapko jab bhi social media par active ho to aap blog link ko promote karne me time de skte hai isse aapko yah yah fayda honga ki aapke blog ke Pageview badhege aur sath me naye naye logo ke bich aane se aapke blog ki value bhi badhega

Blogger tips 7 - time kitna kimti hai use samjhe


Aksar aap dekhte hai koi kisi filed me kayi saal se lga pada hai fir bhi utna success nahi hai aur koi kisi bhi field me aate hi thode dino baad success hoe lagta hai iska siddha sa karan hai ush success person ne apne har work ko sahi planning karke apne time ke value ko samjhte hue apna sara dhyan work aur goal par focus kiya jisse use bahut jaldi success bhi milta hai
Thik aisa hi yadi aap bhi  blogging me success hona chahte hai to aapko apne blog ke time ke value ko samjhana bahut jaruri hai yadi aap dusro se apne blog me ek kadam aage rahte hai to sabse pahle aapko Pageview aur blog traffic milte hai jo ki aapke blog ke success ki nisani hai.

Blogger tips 8 - blog ko follow rakhe


Dosto, agar koi news apko jaldi mile to aap yea koshis kare koi bhi post aap sabse pehle likne ki 
Jaise aap blog likhte hai to sabse pahle blog post ko publish karne ka routine jarur banye yani apko 1 din ya 2 din ke bad blog post ko publish krna hai iske liye khud ko update rakhe aur blog ko bhi update karte rahe jisse aapke blog ki ranking bani rahe aur aapke visior aapke permanent readers aur fan ban jaaye jisse aapko blog me success milegi

Blogger tips 9 - time ko follow karke chale



Yah blogging ka bahut bada success factor hai aap blog to likhte hai lekin aap jis field ke blogger hai us field me jo nayi chije aa rahi uspar bhi post up to date karna bahut jarur hota hai yadi aa paisa nahi krte hai to fir aapko success hone ke chance kam hi rah jaate hai isliye aap jab bhi blog post likhe hmesa new jankari ke sath post update karte rahe
Post update ke liye aap newspaper, Tv News ya online News bhi dekh sakte hai

Blogger tips 10 - kabhi kabhi break le



Blog ek aisa work hai jisme hard work ke mukabale mind work aur aankho ka kary bahut jyaada krna padta hai aise me jab lagatar blogging karte hai to khud ko kafi thaka hua bhi mahsus karte hai aur aankho par bhi bahut pressure aata hai aise me hme apna health ka khayal rakhna bhi bhaut jaruri hota hai
So blogging karte hue hme bich bich me kuch rest bhi lena chahiye jisse hmara health aur mind dini fit rahe fir rest lene ke bad ham khud ko fresh mahsus karte hai jisse hme blogging me lambe time tak bane rahne me sahaytaa milti hai aur fir khud ko ek successful blogger bana skate hai
Dosto, agar is post se related koi bhi sawal ho aapke mann me  to comment karke puch sakte hai

I am a part time Blogger, this is my new website, Blogging, Seo, Google AdSense, Digital Marketing related genuinely article Published everyday Join Telegram Or Follow Us Social ������

0 Comments:

Only Respectfully Comments Are Approved.